Attendees:
Summary Prepared by: Riddhi
Chapter No: 1st
Sutra No: 13 through 16
Recorded lecture:
Summary:
Sutra : 13
MatiGyan : 5 Indriya aur Maan se jo gyan hota hai use matigyan kahte hai. Matigyanavarniy karma ke kshyaopsham se jo gyan utppan hota hai use matigyan kahte hai.
Different names of MATIGYAN :
Mati, Smruti, Sangya, Chinta, Abhinibhodh all are different names of matigyan.
Chinta ka dusra nam Tark(logic) hai.
Tark: Vyapti ke gyan ko tark kahte hai. (in general sense)
Vyapti: If there is sadhan there is sadya, and if there is no sadya there is no sadhan. Two types of vyaptis: a) anvay vyapti : the positive way of determining the sadhya from the sadhan; b) vyatirek vyapti: the negative way of determining the sadhya from sadhann. Sadhan is reasoning and sadhya is thing that is to be proven. For example, smoke indicates the presence of fire, and there is no smoke if there is no fire. In this example smoke is the sadhan and fire is the sadhya.
Abhinibodh(anuman): Sadhan se sadhya ke gyan ko anuman kahte hai. Tark will explain the principle (that is logically proven) and anuman is the application of that principle. For example, Dhuva dekh ker decide karna ki yaha aag hai hi.
Matigyan & Shrutgyan paroksh praman hai, baki ke 3 gyan pratyksh praman hai.
Matigyan utppan kaha se hota hai?/ Matigyan ke bhed
Sutra: 14
Tad + Indriya + Anindriy + Nimmit
Indriya = Aatma ki pahechan jisse hoti hai ya aatma ke chinhvishesh ko indriya kahte hai.
Aatma me gyan gun hai jisse wah jan sakta hai, parantu gyanavarna karma ke uday ke karan use indriya ki zarurat rahti hai. Indriya sirf rupi (sparsh, ras, varna, gandh) padarth ko hi jan sakti hai, per aatma aamurtik hone ke karan indriya use jan nahi sakti. Naamkarma ke uday se indriya ki rachna hoti hai.
Anindriya = Kinchit indriya, Maan (thodi indriya), maan bhi aatma ka chinhvishesh hai.
Indriya ke sthan aur vishay nischit hai, dravyamaan ka sthan nischit hai per bhav maan ka sthan nischit nahi hai, isliye woh kinchit indriya hai. Gyan aatma ke koi bhi pradesh se utppan ho sakta hai jo aangul ke aashankhyat bhag me bhavmaan me convert ho jata hai, isliye bhav maan ka sthan nischit nahi hai. Maan ko anthhkaran bhi kahate hai, kyoki wah indriya ki tarah bahar nahi dikhai deti.
Indriya gyan ko utppan karne me nimmit matra hai, gyan aatma se utppan hota hai. aatma ke bagar indriya se gyan utppan nahi ho sakta. For example, table ko sparsendriya hai per aatma nahi hai, to use gyan nahi hoga. Matigyan aur shrutgyan ke liye indriya ki zarurat hai.
Matigyan ke bhed (in terms of sequence)
Sutra 15:
Avgrah + Eeha + Avay + Dharna
Step 1: Darshan (samanya gyan) – Indriya aur padarth ke sannikarsh. Darshan is one of the gunas of aatma. Upyog lagna darshan hai.
Step 2: Avgrah – darshan ke annantar bhag me vishesh gyan.
Step 3: Eeha – Avgrah se jane huve padarth me, vishesh janne ki ichha per jo samanya gyan hona wah eaha hai.
Step 4: Avay – Visheh chinho ke dwara vastu ke nirnay ko dradh karna vah avay hai.
Step 5: Dharna – Avay se jani hui vastu ko kalantar me na bhulna vah dharna hai.
Kisi bhi steps tak aa ker matigyan chala ja sakta hai. jaise sirf darshan hi ho, ya sirf avgrah tak ho ya sirf eeha tak. Her step ke liye uttarotar kshyopsham ki zarurat raheti hai.
Therefore total bhed 6 x 4 = 24
Matigyan ke further bhed (in terms of Vishay)
Sutra 16:
Bahu + bahuvidh + kshipra + Anishrut + Anukt + Dhruv + Setranam(opposite)
Bahu-alp(minimum, bahuvidh-blapvidh, kshipra-ashipra, anishrut-nihshrut, anukt-ukt, dhruv-adhruv
Yeh 12 vishay me 5 indriya & maan ke dwara avagrah, eeha, avay, dharna hogi,
Therefore total bhed: 12 x 6 x 4 = 288