Saturday, April 25, 2009

Stanza 23-27

Date of Swadhyaya: 04/18/2009
Summary Prepared by: Sahil
Chapter No: 1
Sutra No: 23-27
Recorded lecture:
Summary:

Gatha 23:
hamne sab se pehle dekha ki jiv ko jo manah paryay gyaan hota he uske do bhed he:
1> ruju mati manah paryay gyaan
2> vipul mati manah paryay gyaan

-- yaha ruju mati gyaan me ruju shabd ka arth he "saral", aur vipul ka
arth he "jatil". Usase ruju mati gyaan jo he voh saral prakar ka he
jab ki vipul mati jyada jatil gyaan.
-- ruju mati manahparyay gyaan se dhai dweep me sangni panchendriya jiv ke man me jo pura chintan hua he usko jaan paate he.
-- jab ki vipul mati manahparyay gyaan se agar sangani panchendriya ne
thoda bhi chintan kiya ya arth chintan kiya to usko bhi voh jaan leta
he.
-- vipul mati me vyakti ke chintit, ardh chintit aur a-chintit rupi padartho ka clear janana hota he.

-- yaha vishesh esa he ki manah paryay gyaani rupi padarth ke chintan
ko jaan sakta he. arupi padarhto ke chintan ko nahi jaan sakega. Arupi
padarth se amurtik dravya aur mukta-aatmaki baat kar rahe he.
-- vipul mati manah paryay gyaani "tad bhav moksh gami" jiv hota he. yaani ki voh niyam se usi bhav me moksh jata he.

Gatha 24:
-- manah paryay gyaan me us rup gyaanavaran karma ma kshyopasham aur viryantaraay karm ka kashyopasham, ye do karan nimitt he.

-- yaha gyanavaran ke kshayopasham se vishudhdhi pragat hoti he.
-- is vishudhdhi ki apeksha dekhe to ruju mati se vipul mati jyada vishudhdh he.

-- dusri visheshta yah he ki ruju mati gyaan pratipaathi he, jab ki vipul mati gyaan a-pratipati he.
-- yaha sanyam parinaam me giravat na aana so a-pratipaati he.
-- is tarah ruju mati gyaan chhut bhi sakta he jab ki vipul mati to keval gyaan tak bana rahega.

Gatha 25:
-- is gatha me avadhi gyaa aur manah paryay gyan me vishudhdhi, kshetra, swami apeksha kya antar he uski baat he.

-- vishudhi yaani purity , kshayopasham... avadhigyaan se manah paryay gyaan ki vishudhdhi jyada hoti he.

-- kshtra me ham do baat dekhenge : utpanna kshetra aur jaanane ka kshetra
-- utpanna kshetra:
avadhi gyaan -> samast tras nahi
manah paryay gyaan -> dhai dweep

-- janane ka kshetra:
avadhi gyaan -> samast lok
manah paryay gyaan -> manushya kshetra ( 45 laakh yojan ) ( need more understanding about up and down direction limits )

-- swami:
avadhi gyaan -> charo gati ke sangni panchendriya jiv
manah paryay gyaan -> dhai dweep -> karma bhumi -> sangni panchendriya manushya ->
sanyam dhari -> vardhmaan charitra -> saat riddhi dhari -> un
me bhi kisi ko

Gatha 26:
-- ab is gatha se sabhi gyaan ke vishay ki charcha shuru hoti he.
-- sab se pehle mati aur shrut gyaan ke vishay ki baat karte he.

-- mati aur shru gyaan se sabhi dravyo ko jaan sakte he. lekin un
dravyo ki anant paryayo me se sirf kuch hi paryay jaan sakate he.
-- yaha vishesh yah he ki charma chakshu se to apurna gyaan hota he lekin aagam chakshu se sahi swarup samjenge.
-- koi shanka kare ki arupi dravya ka gyaan kese hoga to voh man se hoga (aagam gyaan ki sahayata se).
--yaha aagam gyaan yani sirf reading ki baat nahi he, dharma dhyaan run chintan/manan rup parinamit hona voh mukhyata se he.

Gatha 27:
-- avadhi gyaan ka vishay sirf rupi dravya he. un rupi dravyo ki bhi sirf kuch paryay avadhi gyaan se jani jaati he.
-- jiv dravya karma aur anya pudgal dravya se bandha hone se voh thosa
murtik jesa ho raha he isliye avadhi gyaan se us sansaari jiv darvya ki
bhi kuch paryay jani ja sakati he.

Extra:
-- mati-shru gyaan me agar upyog lagao to kuch specific vichar chalega
lekin bina upyog lagaye bhi, bina vichare bhi vichar to chalte hi rahte
he. upyog lagane se ham un vicharo ko sahi disha me divert kar sakte
he.
-- jab ki avadhi gyaan bina upyog lagaye nahi chalega.

Dhyaan vs. Bhavana:
-- chalte-firte hum jo dharma ka ya saat tatva adi ka chintan karte he,
us samay kaay adi ki kriya chalu hi he aur usme kafi energy waste hoti
he to focus jyada na hone se use bhavana kaha jayega.
-- jab ki dhyaan me kaay nirodh aur indriya nirodh se energy ko concentrate karne me use kiya ja shakta he.