Friday, January 16, 2009

Date of Swadhyaya: 10th Jan, 2009
Attendees, Summary Prepared by, Chapter No: Same as Sutra No 1
Sutra No: 2
Tatvaarth Shraddhaanam Samyagdarshanam||2||
Summary:
Knowing the true properties/behaviour of an object and having true belief in it is Tatvaarth, and the faith/Shraddhan of Tatvaarth is SamyagDarshan.

Tatva + Aarth = "Tatvaarth", i.e. Jo padaarth jis roop mein sthit hai uska us hi roop mein hona "Tatva" hai, aur jiska Nischay kiya jata hai use Aarth kehte hai.

Tatva ka matlab hai Bhaav, aur Aarth ka matlab hai Bhaav-vaan. Na keval Bhaav aur nahi Keval Bhaav-vaan ke shraddhan ko SamyagDarshan kahenge, kintu Bhaav Vishishth Bhaav-vaan ka Shraddhan hi SamyagDarshan hai.
SamyagDarshan has two types:
1) Saraag
2) Veetraag

1)Parts of Saraag Samyagdarshan are:
i) Prasham : Teevrataa ka Raag na hona Prasham hai.
ii) Samveg : Sansaar, Shareer aur Bhogo se bhaybheet hona Samveg hai.
iii) Anukampa : Sab jeev ke prati daya bhaav ya mitrataa ya unke dukh ko aapna dukh maan na anukampa hai.
iv) Aastikya: Aagam mein jeev aadi padaartho ka jaisa swaroop kaha hai ushi roop mein unhe maan na Aastikay hai

Saraag Samyagdrashti jeev mein yeh chaaro baate payi jaati hai .

2) Jeev ki vishuddhi ko Veetraag Samyuagdarshan kaha gaya hai.

No comments:

Post a Comment